Search This Blog

Category

Autoblog

Saturday, January 24, 2026

Hadith : Sharab ka Aadi, Jadu par yaqeen rakhne wala aur Rishtedari todne wala Jannat mein dakhil nahi honge

 *Bismillahirrahmanirraheem*

✦:  *Hadith : Sharab ka Aadi, Jadu par yaqeen rakhne wala aur Rishtedari todne wala Jannat mein dakhil nahi honge*

---------

 قَالَ رَسُول الله صلی اللہ علیہ وسلم :لَا يَدْخُلُ الْجَنَّة مُدْمِنُ خَمْرٍ ولَا مُؤْمِنٌ بِسِحَر ولَا قَاطَعَ رَحِمٍ 

---------

 رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا:  شراب کا عادی ، جادوپر یقین ركھنے والا، اور رشتہ داری توڑنے  والا جنت میں داخل نہیںِ ہوں گے۔

السلسلہ صحیحہ ٩١٦  

----------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sharab ka Aadi, Jadu par yaqeen rakhne wala aur Rishtedari todne wala Jannat mein dakhil nahi honge
Al-Silsila-As-Sahiha 916

Note : Yaha jadu par yakeen karne se murad ye hai ki Na jadu ka ilm kisi ko hasil karna chahiye aur na hi jaadugar ke paas jakar kisi ko nuqsan pahuchane ki koshsih karni chahiye yani ye yakeen karna ki Allah ki marzi ke magair bhi jaadu se kisi par kuch bhi karwaya ja sakta hai aisa yakeen rakhne wala jannat mein nahi jayega

----------

रसूल-ए-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया शराब का आदी, जादू पर यक़ीन रखने वाला और रिश्तेदारी तोड़ने वाला जन्नत में दाख़िल नहीं होंगे

अल-सिलसिला अस-सहीहा 916

-------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said The drunkard, The one who believe in Magic and the one who cut the relationship will not enter in the paradise

*Al-Silsila-As-Sahiha 916*


Monday, January 19, 2026

Hadith : Aadmi apni burey Akhlaaq ki wajah se jahannam ke sab se nichle Darje tak ja pahuchta hai

 Bismillahirrahmanirrahim

✦:  *Hadith :  Aadmi apni burey Akhlaaq ki wajah se jahannam ke sab se nichle Darje tak ja pahuchta hai

-----------

 قَالَ رَسُولِ اللهِ ﷺ  "إِنَّ الْعَبْدَ لَيَبْلُغُ بِحُسْنِ خُلُقِهِ عَظِيمَ دَرَجَاتِ الْآخِرَةِ، وَشَرَفَ الْمَنَازِلِ  وَإِنَّهُ لَضَعِيفُ الْعِبَادَةِ، وَإِنَّهُ لَيَبْلُغُ بِسُوءِ خُلُقِهِ أَسْفَلَ دَرَجَةٍ فِي جَهَنَّمَ"

-----------

رسول اللہ ﷺ نے فرمایا آدمی اپنے اچھے اخلاق کے ذریعے آخرت کے بڑے درجات اور بلند منزلیں حاصل کر لیتا ہے

 باوجود اس کے کہ وہ عبادت میں (نفلی عبادات کے لحاظ سے) کمزور ہوتا ہے۔ اور آدمی اپنے بد اخلاقی کی وجہ سے جہنم کے سب سے نچلے درجے تک جا پہنچتا ہے۔

المعجم الكبير للطبراني -جلد ١ -  753- حسن 

----------

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Admi apne achay akhlaaq ke zariye aakhirat ke baray darjaat aur buland manzilein haasil kar leta hai, bawajood is ke ke woh ibadat mein (Nafil ibadat ke lihaz se) kamzor hota hai. Aur Aadmi apne burey Akhlaaq ki wajah se jahannam ke sab se nichle Darje tak ja pahuchta hai.

*Al-Mu‘jam-ul-Kabeer lil-Tabrani | Jild: 1 | Hadith: 753-Hasan*

-----------

रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया इंसान अपने अच्छे अख़लाक़ की वजह से आख़िरत में ऊँचे दर्जे और बुलंद मंज़िलें हासिल कर लेता है, चाहे वह इबादत (नफ़्ल इबादत के लिहाज़ से) में कमज़ोर ही क्यों न हो। और इंसान अपने बुरे अख़लाक़ की वजह से जहन्नम के सबसे निचले दर्जे तक जा पहुँचता है।”

-----------

✦: The Prophet Muhammad ﷺ said  Indeed, a person will reach great levels in the Hereafter and honorable stations due to his good character, even though he may be weak in worship. And indeed, a person will descend to the lowest level in Hell due to his bad character.

*Al-Mu‘jam-ul-Kabeer lil-Tabrani | Jild: 1 | Hadith: 753-Hasan*


Total Pageviews