Search This Blog

Category

Autoblog

Tuesday, February 24, 2015

Hadith: ALLAH Subahanhu se jannat al Firdous maanga karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH Subahanhu se jannat al Firdous maanga karo

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jab ALLAH taala se mangna ho to Jannat Al firdaus mango kyunki wo jannat ka sabse achcha aur buland darja hai.
Sahih Bukhari, 2790

Abu Sa'id  Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Jannat mein ek Darakht hai jiske saaye mein umdah aur tez raftaar ghode par sawar shaksh 100 saal tak chalta rahe phir bhi use tay ( complete) nahi kar sakta
Sahih Bukhari, Vol 8, 6553

Sahal Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jannat wale (apne upar ke darjo ke) baalakhano (ghar) ko is tarah dekhege jis tarah tum Aasman mein sitaron ko dekhte ho
Sahih Bukhari, Vol 8, 6555
------------------------------------------------------------
 Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, when you ask ALLAH (for something), ask for Al-firdaus which is the best and highest part of Paradise.
Sahih Bukhari, Book #52, Hadith #48

Narrated Sahl Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "The people of Paradise will see the Ghuraf (special abodes) in Paradise as you see a star in the sky
Sahih Bukhari,  Book 76, 561:

Narrated Abu Sa'id Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: There is a tree in Paradise (so huge) that a fast (or a trained) rider may travel: for one hundred years without being able to cross it.
Sahih Bukhari,  Book 76,  559e:

Total Pageviews