Search This Blog

Autoblog

Wednesday, October 1, 2014

Mafhum-e-Hadith: Jhooti baat kahna ya jhooti gawahi dena bhi kabira gunah hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Jhooti baat kahna ya jhooti gawahi dena bhi kabira gunah hai 
-------------------------------------------
Abu Bakr  Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kya main tumhe sabse bada gunaah na batauu, humne arz kiya zarur bataeeye , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya
ALLAH ke saath shirk aur waldein ki nafarmani karna,
aur farmaya ki aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi,
aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi (bade gunaah hain)
Aap Sallallahu Alaihi wasallam ise baar baar dohrate rahe yahan tak ki humne socha Aap Sallallahu Alaihi wasallam khamosh nahi honge .

Sahih Bukhari, Vol 7, 5976
-------------------------------------------
Narrated Abu Bakr  Radi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "Shall I not inform you of the biggest of the great sins?" We said, "Yes, O ALLAH's ApostleSallallahu Alaihi wasallam " He said, "To join partners in worship with ALLAH: to be undutiful to one's parents." The Prophet sat up after he had been reclining and added, "And I warn you against giving forged statement and a false witness; I warn you against giving a forged statement and a false witness." The Prophet kept on saying that warning till we thought that he would not stop. 
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 7: 

Category

Total Pageviews