Search This Blog

Autoblog

Thursday, October 9, 2014

Mafhum-e-Hadith: Agar main HAAN kah deta to (Hajj har saal) wajib ho jata aur jab wajib ho jata to tum kar nahi sakte

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Agar main HAAN kah deta to (Hajj har saal) wajib ho jata aur jab wajib ho jata to tum kar nahi sakte

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne logo se khitab farmaya ki Allah subhanahu ne tum par Hajj farz kiya hai
Ek shakhs ne arz kiya ki kya har saal ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam khamosh rahe
Yahan tak ki 3 baar usney yahi sawal kiya , to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya ki agar main HAAN kah deta to wajib ho jata aur jab wajib ho jata to tum kar nahi sakte.
Tumse pahle ki ummatein zyada sawalat karney aur apney nabiyon ke baary mein ikhtilafat karne ki wajah se halaq kar di gayee, is wajah se agar main tumko kisi kaam ka hukm du to tum log apni kudrat ke mutabiq us par amal kiya karo aur kisi kaam se mana kar du to tum log us sey bachey raho

Sunan Nasaii, Vol 2, 530 – Sahih

---------------------------------------
It was narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu said: "The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam addressed the people and said: Allah, the Mighty and Sublime, has enjoined upon you Hajj.' A man said: 'Every year?' He Sal-Allahu Alaihi Wasallam remained silent until he had repeated it three times. Then he Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: If I said yes, it would be obligatory, and if it were obligatory you would not be able to do it.
           Those who came before you were destroyed because they asked too many questions and differed with their prophets. If I command you to do something then follow it as much as you can, and if I forbid you to do something then avoid it

Sunan Nasaii ,  Book 24, #2620-Sahih

Category

Total Pageviews