Search This Blog

Autoblog

Thursday, August 21, 2014

Hadith: ALLAH Taala us shaksh se puchega jise Dozakh ka sabse halka azab diya gaya hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH Taala us shaksh se puchega jise Dozakh ka sabse halka azab diya gaya hoga 

Hazrat Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH Taala us shaksh se puchega jisey Dozakh ka sabse halka azab diya gaya hoga ki agar duniya mein tumhari koi cheez hoti to kya tu usey azab se nijat paaney ke liye iskey badle de sakta tha? wo shaksh kahega ji haan is par ALLAH taala farmayega ki jab tu Aadam ki peeth (backbone) mein tha to mainey tujhse is sey bhi mamuli cheez ka mutaliba kiya tha ki mere saath Kisi ko sharik na karna lekin (tuney) isee shirk ka amal ikhtiyar kar liya.
Sahih Bukhari, Vol 4,3334
-----------------------------------------------

Narrated Anas Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "ALLAH will say to that person of the (Hell) Fire who will receive the least punishment, 'If you had everything on the earth, would you give it as a ransom to free yourself (i.e. save yourself from this Fire)?' He will say, 'Yes.' Then ALLAH will say, 'While you were in the backbone of Adam, I asked you much less than this, i.e. not to worship others besides me, but you insisted on worshipping others besides me.'
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 551:

Category

Total Pageviews