Search This Blog

Autoblog

Wednesday, August 27, 2014

Hadith: Aurat pasli ki tarah hai, agar tum usko seedha karna chahoge to tod doge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aurat pasli ki tarah hai, agar tum usko  seedha karna chahoge to tod doge

Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya Aurat pasli ki tarah hai, agar tum usko  seedha karna chahogey to tod dogey aur agar is se fayda hasil karna chahoge to uski tedh ke saath hi fayda hasil karoge.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5184

Abu Hurairah Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Aurat Pasli ki haddi se paida huyee hai aur kabhi tujhse seedhi chaal na chalegi phir agar tu us se  kaam le to liye ja aur wo tedi ke tedi rahegi aur agar tu usko seedhe karne chala to tod dalega aur uska todna talaq dena hai
Sahih Muslim,  3643

Abu Hurairah Radiallahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya aurton se achcha suluk karo kyunki aurat pasli se paida ki gayee hai pasli mein bhi sabse jiyada teda upar ka hissa hota hai agar koi shaksh usey bikul seedhi karna chahye to usey tod kar rahega aur agar usey waisa hi chhodh de to hamesha tedi hi rah jayegi isliye aurton se achcha suluk karo.
Sahih Bukhari, Vol 4,3331

 -------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhuALLAH's Apostle SallallahuAlaihi wasallam said, "The woman is like a rib; if you try to straighten her, she will break. So if you want to get benefit from her, do so while she still has some crookedness.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 113:

Abu Huraira (ALLAH be pleased with him) reported: Prophet peace be upon him said Woman has been created from a rib and will in no way be straightened for you; so if you wish to benefit by her, benefit by her while crookedness remains in her. And if you attempt to straighten her, you will break her, and breaking her is divorcing her.
Sahih Muslim, Book 8, #3467


Narrated Abu Huraira Radiallahuanhu : ALLAH 's Apostle SallallahuAlaihi Wasallam said, "Treat women nicely, for a women is created from a rib, and the most curved portion of the rib is its upper portion, so, if you should try to straighten it, it will break, but if you leave it as it is, it will remain crooked. So treat women nicely."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 548:

Category

Total Pageviews