Search This Blog

Autoblog

Sunday, February 28, 2016

✦ Islamic Quiz-1 ✦

 Islamic Quiz -1

Sawal: Quran mein Surah At-Taubah ki aayat no. 40 mein Allah subhanahu ne farmaya hai 
إِذْ هُمَا فِي الْغَارِ إِذْ يَقُولُ لِصَاحِبِهِ لَا تَحْزَنْ إِنَّ اللَّهَ مَعَنَا
"jab wo dono Gaar mein the us waqt wo (Rasool-Allah  Sallallhu-Alaihi-Wasallam) apne rafeeq (sahaba radi alahu anhu) ko tasalli dete they ki Gam na karo Allah hamare saath hai"
us waqt gaar mein Rasool-Allah  Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke saath kaunse sahaba they

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------------


Quiz : There is a verse in Surah Tauba (8) verse no 40, in which Allah says that

" AL Quran : when they were in the cave, he (Peace be upon him) said to his companion 
"Be not sad (or afraid), surely Allah is with us. 

What is the name of that companion who was present in the cave with prophet peace be upon him

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu

E. None of the above

F. I want to know



Sahi Jawab:
A. Hazrat Abu bakr siddiq radi allahu anhu

Al Quran: Agar tum unki ( Rasool-Allah ki) madad nahi karogey to Allah unka Madadgar hai (wo waqt yaad karo) jab unko kafiron ne ghar se nikal diya (us waqt) do mein(ek Abu Bakr they) aur Dusrey ( khud Rasoollallah they) jab wo dono Gaar mein they us waqt wo (Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam) apney rafeeq ko tasalli detey they ki Gam na karo Allah hamarey saath hai
Al Quran, Surah At-Taubah, Chapter #9, Aayah #40

Hadith: Abu Bakr Siddiq Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki hum gaar mein they aur Mainey Mushriko ke paanw dekhey apney siron par, mainey arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam agar unmein se koi apney qadmo ki taraf dekhey to humko dekh lega Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Eh Abu Bakr tu kya samjhta hai un dono ko, jinkey saath teesra ALLAH bhi hai
Sahih Muslim - Vol6 - 6169


Al Quran: If you help him (Muhammad Peace be upon him ) not , for Allah did indeed help him when the disbelievers drove him out, the second of the two; when they (Muhammad Peace be upon him and abu bakr Radi-Allahu-Anhu ) were in the cave, he (Peace be upon him) said to his companion 
"Be not sad (or afraid), surely Allah is with us.
Al Quran, At-Taubah, Chapter #9, Verse #40

Hadith: Abu Bakr Siddiq may Allah be pleased with him reported I saw the feet of the polytheists very close to us as we were in the cave. I said: Allah's Messenger, if one amongst them were to see at his feet he would have surely seen us. Thereupon Prophet Peace be upon him said: Abu Bakr, what can befall twain who have Allah as the third One with them.
Sahih Muslim, Book 031, Number 5868


Category

Total Pageviews