Search This Blog

Autoblog

Friday, September 28, 2012

Mafhum e-Hadith - Sahaba ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se Muhabbat



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum e-Hadith - Sahaba ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se Muhabbat aur Tazim

Anas Radi Allahu Anhu  ne farmaya
 (Unki walida)  Um Sulaim Radi Allahu Anha Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye chamdey ka farsh bicha deti thi aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam isi par Qailulla kartey  ( yani din ke waqt thoda sa sotey ) they phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam so gaye to Umm sulaim Radi Allahu Anha ne Aapka paseena aur baal le liye aur is ko (paseeney ko) ek sheeshi mein jama kar diya aur phir Suk ko ( ek tarah ki khushbu ko) usmey mila diya phir jab Anas bin malik Radi Allahu Anhu  ki wafat ka waqt kareeb aaya to unhoney waseeyat ki, ki  is suk ( jismein Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ka paseena mila hua tha) ko unkey hanut ( ek tarah ki khhushbu jo Mayyat par lagatey hain) mein mila diya jaye
Sahih Bukhari, Vol 7, 6281
---------------------------------------------------------------
Mafhum-e-Hadith: Sahaba's Respect and love for Prophet peace be upon him

Anas Radi Allahu Anhu said,  Um Sulaim Radi Allahu Anha used to spread a leather sheet for the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  and he used to take a midday nap on that leather sheet at her home.  Anas Radi Allahu Anhu added, "When the Prophet  Sallallahu Alaihi Wasallam had slept, she would take some of his sweat and hair and collect it (the sweat) in a bottle and then mix it with Suk (a kind of perfume) while he Sallallahu Alaihi Wasallam was still sleeping. "When the death of Anas bin Malik Radi Allahu Anhu approached, he advised that some of that Suk be mixed with his Hanut (perfume for embalming the dead body), and it was mixed with his Hanut.  
Sahih Bukhari, Book #74, Hadith #298

Category

Total Pageviews