Search This Blog

Autoblog

Saturday, September 29, 2012

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki baargaah mein Ahsaar ( Naat) parhney waley sahabi


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Mafhum-e-Hadith:  Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ki baargaah mein Ahsaar  ( Naat) parhney waley sahabi

Abdul rahman bin Auf se radi allahu anhu rivayat hai ki unhoney Hassan bin  Thabit ansari radi allahu anhu se suna wo Abu hurairah ko Gawaah bana kar kah rahey they ki EH Abu Huraira Main Aapko Allah ki kasam dekar puchta hu kya tumney Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam se suna hai ki   Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam  ne farmaya Eh Hassan Allah ke Rasool  ki taraf se Mushriko ko Jawab do Eh Allah Rooh al Quddus ke zariye unki madad kar Abu Hurairah Radi Allahu anhu ne farmaya HAAN

Sahih Bukhari, Vol 7, 6152


*Note:  Hassan Radi Allahu Anhu Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ki bargaah mein Ashaar (Naat) parha kartey they aur mushriko ko Ashaar se jawab detey they

Jundub radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi  Wasallam chal rahey they ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam  ko paththar ki thokar lagi is sey Aap allallahu Alaihi Wasallam ki ungli mubarak se khun bahney laga to Aap allallahu Alaihi Wasallam ne ye Sher parha: (jiska tarjuma ye hain)

Tu to ek ungli hai aur kya hai jo zakhmi ho gayee kya hua agar Raah-e-Mola mein tu zakhmi ho gayee  

 Sahih Bukhari, Vol 7, 6146

Note: Agar Aap koi Naat ya Ashaar parhey to is baat ka khyal rakhiyega ki koi bhi Shirk wala ashaar na ho warna Sawab ki jagah Aap gunaah ke haqdaar ho jayengey


---------------------------------------------------------------------

Narrated Abu Salama bin 'Abdur-Rahman bin 'Auf: that he heard hassan bin Thabit Al-Ansari radi allahu anhu asking the witness of Abu Huraira, saying, "O Abu- Huraira! I beseech you by Allah (to tell me).Did you hear Allah's Apostle Peace be upon him saying' 'O hassan ! Reply on behalf of Allah's Apostle. O Allah ! Support him (hassan) with the Holy Spirit (Gabriel).'?" Abu Huraira Radi Allahu Anhu   said, "Yes."  
Sahih Bukhari, Book  73, Hadith 173

Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu  : The Prophet Peace be upon him said to Hassan Radi Allahu Anhu  , "Lampoon ( Reply ) them (the pagans) in verse, and Gabriel is with you." 
Sahih Bukhari , Book 73, Hadith  174
* Note: Hassan Radi Allahu Anhu  used to Read the Poetry ( Nasheed)  for  Prophet Peace be upon him and used to give reply to Mushriks.Narrated Jundub radi allahu anhu:  While the Prophet peace be upon him was walking, a stone hit his foot and stumbled and his toe was injured. He peace be upon him then (quoting a poetic verse) said, "You are not more than a toe which has been bathed in Allah's Cause"
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 73, Number 167:

Category

Total Pageviews