Search This Blog

Category

Autoblog

Traffic

A visitor from Karachi viewed '✦: Hadith : Parhez karna Taqdeer' 10 mins ago
A visitor from Islamabad viewed 'Al Quran : Eh Nabi (Sallallahu Al' 11 mins ago
A visitor from Chandigarh viewed 'Hadith in Roman' 19 mins ago
A visitor from Shandong viewed 'Al Quran: Kya insaan ye samajhta' 22 mins ago
A visitor from Karachi viewed 'Al Quran : Allah Sabse behtareen' 22 mins ago
A visitor from Rawalpindi viewed 'Hadith: Aurat pasli ki tarah hai,' 34 mins ago
A visitor from Lucknow viewed 'Sadqa-Zakat (Charity)' 37 mins ago
A visitor from Islamabad viewed '✦ Al Quran : Duniya ki zindagi si' 41 mins ago
A visitor from Haryana viewed 'Namaz ke baad ke Azkar in English' 46 mins ago
A visitor from Islamabad viewed 'Hadith: Aurat pasli ki tarah hai,' 48 mins ago

Wednesday, September 26, 2012

Hadith: ek shaksh unmein se paishaab ke cheenton se bachney ka ehatmam nahi karta tha aur dusra shaksh chugal khori kiya karta


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: ek shaksh unmein se paishaab ke cheenton se bachney ka ehatmam nahi karta tha aur dusra shaksh chugal khori kiya karta

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ek baar madina ya makka ke ek baagh mein tashreef le gaye wahan Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do shaksho ki Aawaz suni jinhey unki kabr mein Azab ho raha tha Aapney farmaya inhey azab ho raha hai aur kisi bahut badey gunaah ki wajah se nahi phir Aapney farmaya baat ye hai ki ek shaksh unmein se paishaab ke cheenton se bachney ka ehatmam nahi karta tha aur dusra shaksh chugal khori kiya karta tha phir Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne (khajur ki) ek daali mangwayee aur usko todkar Do tukdey kiya aur unmein se (ek ek tukda) har ek ki Qabr par rakh diya logon ne Aap Sallallhu Alaihi Wasallam se pucha ya Rasoollallah ye aapney kyun kiya Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya isliye ki jab tak ye daaliyan khushk ho shayad us waqt tak un par Azab kam ho jaye
Sahih bukhari ,  Vol 1, 216
 -----------------------------------------------------------------------------
Narrated Ibn 'Abbas Radi Allahu Anhuma Once the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam , while passing through one of the grave-yards of Medina or Mecca heard the voices of two persons who were being tortured in their graves. The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "These two persons are being tortured not for a major sin (to avoid)." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  then added, "Yes! (they are being tortured for a major sin). Indeed, one of them never saved himself from being soiled with his urine while the other used to go about with calumnies (to make enmiy between friends). The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  then asked for a green leaf of a date-palm tree, broke it into two pieces and put one on each grave. On being asked why he had done so, he replied, "I hope that their torture might be lessened, till these get dried."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 4, Number 215: 

Total Pageviews

1,049,813