Search This Blog

Autoblog

Wednesday, September 26, 2012

Hadith: Main tumhari kamar pakad pakad kar jahannam se rokta hu


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Hadith:
Main tumhari kamar pakad pakad kar jahannam se rokta hu

Hazrat Abu huraiah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki meri misaal  aur meri ummat ki misaal aisee hai jaisey kisi ne  Aag jalayee phir usmein keedey aur patangey girney lagey aur main pakdey huye hu tumhari kamar ko aur tum usi mein girtey jatey ho
Sahih Muslim, Vol 6,  5955

Hazrat Abu huraiah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki meri misaal us shaksh ki tarah hai  jisney Aag jalayee jab uskey ird gird ( charo aur) roshni huyee to usmein keedey aur ye janwar jo Aag mein hain girney lagey aur wo shaksh usko rokney laga lekin wo na rukey aur usmein girney lagey ye missal hai meri aur tumhari , Main tumhari kamar pakad pakad kar jahannam se rokta hu aur kahta hu jahannam ke pas se chaley jao aur tum nahi mantey usi mein ghus jatey ho
Sahih Muslim,  Vol 6,  5957
----------------------------------------------------------------------------

Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him  reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: The similitude of mine and that of my Umma is that of a person who lit fire and there began to fall into it insects and moths. And I am there to hold you back, but you plunge into it.
Sahi Muslim,  Book 030, Number 5670
Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him reported Allah's Messenger may peace be upon him said: A person lit fire and when the atmosphere was aglow, moths and insects began to fall into the fire, but I am there to hold them back, but they are plunging into it despite my efforts, and he further added: That is your example and mine. I am there to hold you back from fire and to save you from it, but you are plunging into it despite my efforts.
Sahih Musim, Book 030, Number 5671


Category

Total Pageviews