Search This Blog

Autoblog

Wednesday, September 26, 2012

Hadith: Mujhe apni ummat ke Dushwari mein parh janey ka khauff na hota to main unko har Namaz ke liye Miswak karney ka hukm deta.....


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Mujhe apni ummat ke Dushwari mein parh janey ka khauff na hota to main unko har Namaz ke liye Miswak karney ka hukm deta.....

Zayd ibn Khalid al-Juhani Radi Alllahu Anhu  se rivayat hai ki 
Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya agar mujhe apni ummat ke Dushwari mein parh janey ka khauff na hota to main unko har Namaz ke liye Miswak karney ka hukm deta Abu Salmah Radi Alllahu Anhu kahtey hain ki Mainey Zayd bin Khalid ko dekha ki wo Namaz ke intezar mein baithey rahtey they aur miswak unkey kaan par us jagah rakhi rahti thi jahan katib ke kaan par Qalam rakha rahta hai wo jab bhi namaz ke liye khadey hotey to Miswak kartey
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 47 ( Sahih)

Aaysha Radi Alllahu Anha se rivayat hai ki 
Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam  ke liye Wudhu ka pani aur Miswak rakh di jati thi, jab Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam raat mein baidar hotey they to pahley istinja ke liye tashreef  le jatey iskey baad wapas aakar miswak kartey they. RASOOLLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam jab bhi so kar uthtey chahey raat mein ya chahey din mein to Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam Wudhu se pahley Miswak jarur kartey
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 55,56 ( Sahih)

--------------------------------------------------------------------------
Hadith: RASOOLLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam’s  Love with tooth Stick (Siwak)

Narrated Zayd ibn Khalid al-Juhani Radi Alllahu Anhu  : I heard the Apostle of ALLAH peace_be_upon_him say: Were it not hard on my ummah, I would order them to use the tooth-stick at the time of every prayer. AbuSalamah said: Zayd ibn Khalid used to attend the prayers in the mosque with his tooth-stick on his ear where a clerk carries a pen, and whenever he got up for prayer he used it.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0047 
( Sahih)

Narrated  Ummul Mu'minin Aisha Radi Alllahu Anhu  : Ablution water and tooth-stick were placed by the side of the Prophet (peace_be_upon_him). When he got up during the night (for prayer), he relieved himself, then he used the tooth-stick. The Prophet  peace_be_upon_him  did not get up after sleeping by night or by day without using the tooth-stick before performing ablution.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0055,56 
( Sahih)

Category

Total Pageviews