Search This Blog

Autoblog

Monday, November 12, 2012

Hadith: Allah 7 tarah ke logo ko us din apney saye mein jagah dega jis din uskey saye ke siwa aur koi saya na hoga


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Allah 7 tarah ke logo ko us din apney saye mein jagah dega jis din uskey saye ke siwa aur koi saya na hoga
  
Abu Hurirah Radiallahu anhu  se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  ki Allah 7 tarah ke logo ko us din apney saye mein jagah dega jis din uskey saye ke siwa aur koi saya na hoga
1. Insaaf karney wala baadshah,
2. Wo Nojawan jo apney Rab ki ibadat mein jawani mein bhi masruf raha,
3. Aisa shaksh jiska dil hamesha masjid mein laga rahta hai
4. Do aisey shaksh jo Allah ke liye aapas mein mohabbat rakhtey hain aur sirf allah ke liye miltey aur juda hote hain.
5. wo Nojawan jisey ki baizzat aur haseen aurat ne (burey iradey se) bulaya lekin usney kah diya main Allah se darta hun
6. Aisa shaksh jisney aisa chupa ke sadqa diya ki bahiney haath ko bhi khabar nahi huyee ki dahiney haath ne kya kharch kiya …….
7.wo shaksh jisney tanhaii mein Allah ko yaad kiya aur aankhon se aansoo jaari ho gaye.
Sahih Bukhari, Vol 1 , 660
---------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Allah will give shade, to seven, on the Day when there will be no shade but His. 
1.A just ruler,
2.A youth who has been brought up in the worship of Allah,
3.A man whose heart is attached to the mosques,
4.Two persons who love each other only for Allah's sake and they meet and part in Allah's cause only,
5.a man who refuses the call of a charming woman of noble birth for illicit intercourse with her and says: I am afraid of Allah,
6.a man who gives charitable gifts so secretly that his left hand does not know what his right hand has given ,
7.and a person who remembers Allah in seclusion and his eyes are then flooded with tears."
Sahih Bukhari, Vol1, Book 11, No.629

Category

Total Pageviews