Search This Blog

Autoblog

Tuesday, November 27, 2012

Mafhum-e-Hadith: Shaitan Namazi ke dil mein waswasey dalta hai kahta hai ki falah baat yaad kar


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Shaitan Namazi ke dil mein waswasey dalta hai kahta hai ki falah baat yaad kar

Abu hurairah radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab namaz ke liye azan di jati hai to Shaitan hawa kharij karta hua badi tezi ke saath peeth pher kar bhagta hai taki Azan ki aawaz na sun  sakey aur jab azan khatam ho jati hai to phir wapas aa jata hai lekin jaisey hi  takbeer shuru hoti hai to phir peeth pher kar bhagta hai jab takbeer bhi khatam 
ho jati hai shaitan dobara aa jata hai aur namazi ke dil mein waswasey dalta hai kahta hai ki falah baat yaad kar.falah baat yaad kar.
un baaton ko shaitan yaad dilata hai jiska usey (namazi ko) khayal bhi na tha aur phir us shaksh ko ye bhi yaad nahi rahta ki kitni Rakatein parhi hain -
Sahih Bukhari, Vol 1, 608


---------------------------------------

Narrated Abu Huraira may Allah be pleased with him Allah's Apostle Peace be upon him said, When the Adhan is pronounced Satan takes to his heels and passes wind with noise during his flight in order not to hear the Adhan. When the Adhan is completed he comes back and again takes to his heels when the Iqama is pronounced and after its completion he returns again till he whispers into the heart of the person (to divert his attention from his prayer) and makes him remember things which he does not recall to his mind before the prayer and that causes him to forget how much he has prayed.
Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 11, Number 582

Category

Total Pageviews