Search This Blog

Autoblog

Tuesday, November 27, 2012

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai

Hazrat Abu Malik Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai , aur noha karney wali agar bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 ( Hasan)

Jarir ne farmaya ki Muawiyah radi allahu anhu ne apney khutbey mein kaha ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 (Sahih)

Umma Atiyyah Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne humein Noha (matam) karney se mana farmaya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, #1350 ( Sahih)

Abdullah bin masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh apney rukhsar peetey, girebaan phadey ( kapdey phaadey) aur jahiliyat ke zamaney ki tarah baatain karey wo hum mein se nahi hai
Sahih Bukhari, Vol2, 1297
--------------------------------------------------
It was narrated from Abu Malik Ashari that the Messenger of Allah said: Wailing is one of the affairs of the Days of Ignorance, and if the woman who wails dies without having repented, Allah will cut a garment of pitch (tar) for her and a shirt of flaming fire.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 (Hasan)

Jarir the freed slave of Muawiyah radi allahu anhu said: Muawiyah delivered a sermon in his sermon he mentioned that the Messenger of Allah Peace be upon him forbade wailing.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 (Sahih)

Narrated Umm Atiyyah Radi-Allahu-Anha The Messenger of Allah Peace be upon him prohibited us to wail.
Sunan Abu Dawud, Book 20, 3121 ( Sahih)

Narrated Abdullah bin masood may Allah be pleased with him the Prophet Peace be upon him said He who slaps his cheeks, tears his clothes and follows the ways and traditions of the Days of Ignorance is not one of us.
Sahih Bukhari, , Book #23, Hadith #382

Category

Total Pageviews