Search This Blog

Autoblog

Monday, November 12, 2012

Mafhum-e-Hadith: Allah taala ki baargah mein jiyada mehboob Amal


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: Allah taala ki baargah mein  jiyada mehboob Amal

Abdullah  Radiallahu anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki Allah taala ki baargah mein kaunsa amal jiyada mehboob hai ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki apney waqt par namaz Parhna phir pucha uskey baad ,farmaya waldain (parents) ke saath achcha aur neik suluk karna, pucha iskey baad, farmaya Allah ki raah main jihad karna Abdullah Radiallahu anhu  ne kaha ki mainey itna hi pucha agar main aur sawalat karta to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe aur jawabat farmate.
Sahih Bukhari,  Vol 1, 537

-------------------------------------------
Narrated 'Abdullah Radiallahu anhu :I asked the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam "Which deed is the dearest to Allah?" He replied, "To offer the prayers at their early stated fixed times." I asked, "What is the next (in goodness)?" replied, "To be good and dutiful to your parents" I again asked, "What is the next (in goodness)?" replied, 'To participate in Jihad (religious fighting) in Allah's cause." 'Abdullah added, "I asked only that much and if I had asked more, the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam would have told me more."
Sahih Muslim,  Vol 1, Book 10, No. 505: 

Category

Total Pageviews