Search This Blog

Autoblog

Monday, November 12, 2012

Mafhum-e-Hadith: Fajar aur Asar ke Waqt aaney jaaney waley Farishtey


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Fajar aur Asar ke Waqt aaney jaaney waley Farishtey

 Abu Hurirah Radi allahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  ki raat aur din mein farishton ki Dutiyan (jobs) badalti rahti hain aur Fajar aur Asar ki namazon mein ijtima hota hai phir tumharey paas rahney waley farishtey jab upar chadtey hain to Allah taala puchta hai haalanki wo unsey bahut jiyada apney bandon ke mutaaliq janta hai , ki mere bando ko tumne kis haal mein chora to wo jawab dete hai ki humney jab unhey chora to wo (fajar ki) namaz Parh rahey they aur jab unkey paas gaye tab bhi wo (Asar ki) namaz Parh rahey they.
 Sahih Bukhari,  Vol 1, 555
 -------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Angels come to you in succession by night and day and all of them get together at the time of the Fajr and 'Asr prayers. Those who have passed the night with you (or stayed with you) ascend (to the Heaven) and Allah asks them, though He knows everything about you, well, "In what state did you leave my slaves?" The angels reply: "When we left them they were praying and when we reached them, they were praying."
Sahih Bukhari,  Vol 1, Book 10, No. 530:

Category

Total Pageviews