Search This Blog

Autoblog

Friday, September 4, 2015

Hadith: Dahina (right) qadam uthate hi ek nekiaur bahina (left) Qadam rakhte hi ek gunaah maaf

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Dahina (right) qadam uthate hi Allah Subhanahu uske liye ek neki likh dete hain aur bahina (left) Qadam rakhte hi uska ek gunaah maaf kar dete hain

Hazrat Saeed bin Maseeb Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki ek ansari  jab apni aakhri saanse le raha tha tab usne kaha ki main tumhe sawab kamane ki khatir ek hadith sunata hu jo maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  se duni thi ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam  ne farmaya ki jab tum mein se koi shaksh achchi tarah wudhu karke namaz ke liye nikalta hai to dahina (right) qadam uthate hi Allah Subhanahu uske liye ek neki likh dete hain aur bahina (left) Qadam rakhte hi uska ek gunaah maaf kar dete hain so ab jo chahe ( masjid se ) Qareeb rahe ya dur rahe , phir jab wo Masjid mein aakar namaz Padhta hai to usko bakhsh diya jata hai,
                                              Aur agar wo masjid mein us waqt aaya jab log namaz ka kuch hissa Parh chuke they aur kuch baki rah gaya tha aur jitni namaz rah gayi thi wo unke saath Parh leta hai tab bhi bakhsh diya jata hai, aur agar wo masjid mein aisey waqt mein aaya jab Namaz khatm ho chuki thi aur phir usney (masjid mein aakar) namaz Parh li tab bhi uski maghfirat kar di jayegi
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 561-Sahih

------------------------

Sa'id ibn al-Musayyab Radi allahu anhu said: An Ansari was breathing his last. He said: I narrate to you a tradition, and I narrate it with the intention of getting a reward from Allah.
I heard the Messenger of Allah (ï·º) say: If any one of you performs ablution and performs it very well, and goes out for prayer, he does not take his right step but Allah records a good work (or blessing) for him, and he does not take his left step but Allah remits one sin from him. Any one of you may reside near the mosque or far from it; if he comes to the mosque and prays in congregation, he will be forgiven (by Allah).
If he comes to the mosque while the people had prayed in part, and the prayer remained in part, and he prays in congregation the part he joined, and completed the part he had missed, he will enjoy similarly (i.e. he will be forgiven). If he comes to the mosque when the people had finished prayer, he will enjoy the same.

Sunan Abu Dawud, Book 2, Hadith 563-Sahih

Category

Total Pageviews