Search This Blog

Autoblog

Saturday, September 19, 2015

Hadith: mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahle ke Anbiya ko nahi di gayi thi

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahle ke Anbiya
ko nahi di gayi thi
--------------

Hadith: Jabir radi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Allallahu Alaihi wasallam ne
farmaya mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahle ke Anbiya
ko nahi di gayi thi
1. Ek mahine ki Raah se mera Ruaab daalkar meri madad ki gayee
(Yani dushman agar itna dur ho ki us tak pahuchne mein ek mahina lag jaye , itni duri par hone ke baad bhi dushman ke dil mein Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka khauff rahta)


2. Mere liye tamam zameen mein namaz parhne aur paki haasil karne ki ejazat hai
isliye meri ummat ke jis aadmee ki namaz ka waqt (jaha bhi) aa jaye  use namaz parh
leni chahiye 
3. Mere liye maal ganimat halal kiya gaya
4.Pahle anbiya khas apni Qaumo ki hidayat ke liye bheje jate the lekin mujhe duniya ke tamam insaano ki hidayat ke liye bheja gaya hai
5. Mujhe shafaat ata ki gayee hain

Sahih Bukhari, Vol 1, # 438
--------------


Narrated Jabir bin 'Abdullah may ALLAH be pleased with him : ALLAH's Apostle Peace be upon him

said, "I have been given five things which were not given to any amongst the Prophets before me.

These are:
1. ALLAH made me victorious by awe (by His frightening my enemies) for a distance of 
one month's journey. 
2. The earth has been made for me (and for my followers) a place for praying and a thing to perform Tayammum. Therefore my followers can pray wherever the time
 of a prayer is due. 
3. The booty has been made Halal (lawful) for me (and was not made so for
 anyone else). 
4. Every Prophet used to be sent to his nation exclusively but I have been sent to all
 mankind. 
5. I have been given the right of intercession (on the Day of Resurrection.) 

Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 8, #429

Category

Total Pageviews