Search This Blog

Autoblog

Saturday, September 19, 2015

Hadith: Qayamat se pahle bahut se chote dajjal bheje jayenge , taqreeban 30 Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Qayamat se pahle bahut se chote dajjal bheje jayenge , taqreeban 30  Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai
---------------------------------------
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak Do Azeem jamatein jung na karegi in dono jamaton ke darmiyan badi khoon-rezi hogi halanki dono ka dawah ek hi hoga (yani ek hi mazhab ko maane wale honegy ) yahan tak ki bahut se chote dajjal bheje jayenge taqreeban 30  Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai yahan tak ki ilm utha liya jayega aur zalzalon ki kasrat hogi aur zamana kareeb ho jayega aur fitne zahir ho jayenge  aur harj bad jayega harj yani Qatl, yahan tak ki tumhare pass maal ki kasrat ho jayegi yahan tak ki parhzigar aur Sahab-e-maal ko ye fikr hone lag jayegi ki uska sadqa  kaun qubul karega aur yahan tak ki wo (sadqa) pesh karega magar jiske samne pesh karega wo kahega ki mujhe iski jarurat nahi aur yahan tak ki log badi badi imaraton mein aapas mein fakhr karenge , ek se ek badkar imaratein banayengey, aur yahan tak ki ek shaksh dusre ki kabr par se guzrega aur kahega ki kaash main bhi isi jagah hota  aur yahan tak ki suraj maghrib se nikal jayega , jaise ho wo (suraj) is tarah tulu hoga  aur log dekh lenege to sab log Imaan le aaayenge lekin ye wo waqt hoga jab kisi aise shaksh ko iska imaan lana fayda na dega jo pahle se imaan na laya hoga aur usne apne imaan ke saath achchay kaam na kiye hon

                        Aur Qayamat achanak is tarah qayam ho jayegi ki do aadmiyon ne apne darmiyan kapda phaila rakha hoga ise abhi bech bhi na paaye honge aur na hi lappet paye honge , aur qayamat is tarah aa jayegi ki ek shaksh apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua hoga aur abhi use pee bhi nahi paya hoga , aur qayamat is tarah qayam ho jayegi ki wo apne hauz ko durast kar raha hoga aur abhi usmein se paani bhi nahi pee sakega aur Qayamat is tarah qayam ho jayegi ki usne apna luqma munh ki taraf uthaya hoga aur abhi use khaya bhi nahi hoga
Sahih Bukhari, Vol 8, 7121

 -------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The Hour will not be established (1) till two big groups fight each other whereupon there will be a great number of casualties on both sides and they will be following one and the same religious doctrine, (2) till about thirty Dajjals (liars) appear, and each one of them will claim that he is ALLAH's Apostle, (3) till the religious knowledge is taken away (by the death of Religious scholars) (4) earthquakes will increase in number (5) time will pass quickly, (6) afflictions will appear, (7) Al-Harj, (i.e., killing) will increase, (8) till wealth will be in abundance ---- so abundant that a wealthy person will worry lest nobody should accept his Zakat, and whenever he will present it to someone, that person (to whom it will be offered) will say, 'I am not in need of it, (9) till the people compete with one another in constructing high buildings, (10) till a man when passing by a grave of someone will say, 'Would that I were in his place (11) and till the sun rises from the West. So when the sun will rise and the people will see it (rising from the West) they will all believe (embrace Islam) but that will be the time when: (As ALLAH said,) 'No good will it do to a soul to believe then, if it believed not before, nor earned good (by deeds of righteousness) through its Faith.' (6.158)

                               And the Hour will be established while two men spreading a garment in front of them but they will not be able to sell it, nor fold it up; and the Hour will be established when a man has milked his she-camel and has taken away the milk but he will not be able to drink it; and the Hour will be established before a man repairing a tank (for his livestock) is able to water (his animals) in it; and the Hour will be established when a person has raised a morsel (of food) to his mouth but will not be able to eat it."

Sahih Bukhari, Volume 9, Book 88, Number 237: 

Category

Total Pageviews