Search This Blog

Autoblog

Friday, September 4, 2015

Mafhum-e-Hadith: Namaz mein pahli saf farishton ki saf ki tarah hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Namaz mein  pahli saf farishton ki saf ki tarah hai
 ----------------
Ubayy ibn Ka'b Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallamne ne farmaya ye do namazein ( Fajar aur Isha)  munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan letey ki in do namazon ka kitna sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aate , 

Aur (namaz mein) pahli saf farishton ki saf ki tarah hai agar tum jaan letey ki iski kitni fazeelat hai to yakeenan iski taraf sabqat kartey aur do aadmiyon ka milkar namaz parhna tanha namaz parhney se afzal hai aur teen aadmiyon ka milkar namaz parhna do aadmiyon ke milkar namaz parhney se afzal hai aur namaz mein jis qadar bhi (ziyada) log hongey Allah taala ke nazdeek wo namaz ziyada pasandeeda hogi
Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan


----------------

Narrated Ubayy ibn Ka'b Radi-Allahu-Anhu  The Apostle of Allah peace_be_upon_him said These two prayers (Fajar and Isha) are the ones which are most burdensome to hypocrites. If you knew what they contain (i.e. blessings), you would come to them, even though you had to crawl on your knees.

The first row is like that of the angels, and if you knew the nature of its excellence, you would race to join it. A man's prayer said along with another is purer than his prayer said alone, and his prayer with two men is purer than his prayer with one, but if there are more it is more pleasing to Allah, the Almighty, the Majestic.
Sunan Abu Dawud, Book 2,  0554-Hasan

Category

Total Pageviews