Search This Blog

Autoblog

Wednesday, May 15, 2019

❗Islamic Quiz -103 ❗



❗Islamic Quiz -103 ❗

Sawal: Agar tum kisi cheez ko aad (sutra) bana kar namaz padh rahe ho phir bhi agar koi samne se guzarne ki koshish kare to kya karna chahiye?
A. Namaz tod kar phir se parhni chahiye
B. Namaz mukammal karke dohrani chahiye
C. Guzarne ki koshish karne wale ko rok dena chahiye
D. Kuch nahi karna chahiye
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------
Quiz : If anybody is praying behind something as a Sutra and somebody tries to pass in front of him, then whats should He or She do ?
A. He should stop prayer and again start
B. He Should complete the remaining prayer and repeat this again
C. He should repulse (push back) the one who tries to pass in front of
D. He should do nothing
E. None of the above
F. I want to know



Sahi jawab C


Abu Salih As-Samman radi allahu anhu ne kaha ki maine Abu saeed khudri radi allahu anhu ko jumma ke din namaz parhte hue dekha. aap kisi cheez ki taraf munh kiye huye logon ke liye usko aad banaye hue they ( yani add banaye namaz padh rahe they) ke uske beech mein se ek jawan ne chaha ke aap ke samne se ho kar guzar jaye. Abu saeed radi Allahu anhu ne is ke seene par dhakka de kar rokna chaha. jawan ne charon taraf nazar dodayi lekin koi rasta siwaye samne se guzarne ke na mila. is liye woh phir isi taraf se nikalne ke liye lota. ab abu saeed radi allahu anhu ne pahle se bhi ziyada zor se dhakka diya. usko abu saeed radi allahu anhu se shikayat hui aur woh apni yeh shikayat Mervan ke paas le gaya. is ke baad abu saeed radi allahu anhu bhi tashreef le gaye. Mervan ne kaha eh abu saeed radi allahu anhu aap aur aap ke bhatije mein kya muaamla paish aaya. 

Aap ne farmaya ke maine Nabi kareem Sal-Allahu alaihi wasallam se suna hai ki Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke jab koi shakhs kisi cheez ki taraf munh karke namaz padhe aur is cheez ko aad bana raha ho phir bhi agar koi samne se guzray to usko rok dena chahiye. agar ab bhi usko israar ho to usay ladna chahiye ( Yani taqat se rokna chahiye) Kyunki woh Shaitan hai 
Sahih Bukhari, Vol 1, 509

Busr bin saeed Radiallahu anhu se rivata hai ki Abu Jahim Radiallahu anhu ne kaha ki Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar 
Namazi ke samne se guzarney wala shakash janta ki uska kitna bada gunaah hai to uskey samney se guzarney ki bajaye wo 40 (din, mahiney aur saal) tak intezar karta, abu an nadr ne kaha ki mujhe yaad nahi ki unhoney 40 din , mahiney ya saal kaha tha.
Sahih Bukhari, Vol 1 , 510

-----------------------------------
Answer C

Narrated Abu Salih As-Samman radi allahu anhu:
I saw Abu Sa`id Al-Khudri praying on a Friday, behind something which acted as a Sutra. A young man from Bani Abi Mu'ait , wanted to pass in front of him, but Abu Sa`id repulsed him with a push on his chest. Finding no alternative he again tried to pass but Abu Sa`id pushed him with a greater force. The young man abused Abu Sa`id and went to Marwan and lodged a complaint against Abu Sa`id and Abu Sa`id followed the young man to Marwan who asked him, "O Abu Sa`id! What has happened between you and the son of your brother?" Abu Sa`id said to him, "I heard the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam saying, 'If anybody amongst you is praying behind something as a Sutra and somebody tries to pass in front of him, then he should repulse (push back) him and if he refuses, he should use force against him 
for he is a Shaitan (a Satan).' "
Sahi Bukhari, Book 9, Hadith 487

Narrated Busr bin Said Radiallahuanhu :Abu Juhaim Radiallahuanhu said that, "ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, 'If the person who passes in front of another person in prayer knew the magnitude of his sin he would prefer to wait for 40 (days, months or years) rather than to pass in front of him." Abu An-Nadr said, "I do not remember exactly whether he said 40 days, months or years."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 9, No. 489

Category

Total Pageviews