Search This Blog

Autoblog

Wednesday, May 15, 2019

❗Islamic quiz-105 ❗


❗Islamic quiz-105 ❗
Sawal: Jab Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke khutbe ke liye pahli baar mimbar bana diya gaya to kaun unke liye rone laga ?

A. Abu bakr siddiq radi allahu anhu
B. Bilal Radi allahu anhu
C. oontni ka bachcha
D. Khajur ka tana
E. Inmein se koi nahi
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------------
Quiz : When the first time Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam start his seremon on a new pulpit (mimbar) , who started crying ?
A. Abu bakr siddiq radi allahu anhu
B. Bilal Radi allahu anhu
C. A calf of camel
D. A trunks of datepalms
E. None of the above
F. I want to know



Sahih Jawab D

Mafhum-e-Hadith: Khajur ke taney ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se muhabbat
------------------------
Anas in malik Radhi allahu anhu ne Jaber bin Abdullah Radhi allahu anhuma se rivayat kiya ki Masjid-e-nabwi ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ki chat khajur ke tano par banayee gayee thi Nabi kareem Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab khutbe ke liye tashreef late to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ek tane ke paas khade ho jate lekin jab aapke liye minbar bana diya gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam us minbar par tashreef le gaye to humne us taney se is tarah rone ki aawaz suni jaise wiladat ke waqt oontni ki aawaz hoti hai , phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne uske kareeb aakar us par haath rakha to wo chup hua
Sahih Bukhari, Vol 5, 3583

Ibn Umar radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam khajur ke tane ka sahara lekar khutba diya karta they , phir jab aapke liye mimbar bana diya gaya Aap Sal-Allahu alaihi wasallam khutbe ke iye us par tashreef le gaye is par us khajur ke tane ne barik aawaz se rona shuru kar diya , phir Aap Sal-Allahu alaihi wasallam uske paas tashreef laye aur apna haath us par phera ( tab wo chup hua)
Sahih Bukhari, Jild 5, 3583
------------------------
Answer D

Narrated Ibn Umar radi allahu anhu The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam used to deliver his sermons while standing beside a trunk of a datepalm. When he had the pulpit made, he used it instead. The trunk started crying and the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam went to it, rubbing his hand over it (then it became quiet.).
Sahi Bukhari, Book 56, Hadith 783

Narrated Anas bin Malik Radhi allahu anhu 
That he heard Jabir bin `Abdullah saying, "The roof of the Masjid An Nabwi (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) was built over trunks of datepalms working as pillars. When the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam delivered a sermon, he used to stand by one of those trunks till the pulpit was made for him, and he used it instead. Then we heard the trunk sending a sound( start crying) like of a pregnant she-camel till the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam came to it, and put his hand over it, then it became quiet."
Sahih Bukhari, Book 56, Hadith 785

Category

Total Pageviews