Search This Blog

Autoblog

Wednesday, May 15, 2019

❗Islamic Quiz-106 ❗


❗Islamic Quiz-106 ❗
Sawal: Agar koi khane ke shuru mein Bismillah kahna bhul jaye to usko beech mein yaad aane par kya padhna chahiye ?
A. Bismillah wa ala barakatillah
B. Bismillah fi Awwalihi wa Aakhirihi
C. Aawuzubillahi Min As-shaitan Ar-rajim
D. Alhamdulillah Ala Aakhirihi
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

------------------------
Quiz: When one of you eats food, and forgets saying Bismillah in the beginning, then what should he say in between ?
A. Bismillah wa ala barakatillah
B. Bismillah fi Awwalihi wa Aakhirihi
C. Aawuzubillahi Min As-shaitan Ar-rajim
D. Alhamdulillah Ala Aakhirihi
E. None of the above
F. I want to know



Sahi jawab B


Mafhum-e-Hadith: Koi agar khane ke shuru mein Bismillah kahna bhul jaye to yaad aane par Bismillah Fi Awwalihi Wa Aakhirihi kahe
-------------------------
Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tum mein se koi khana khane lage to Bismillah kahe aur agar shuru mein kahna bhul jaye to ye kahe Bismillah Fi Awwalihi Wa Aakhirihi 
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1917-Sahih 

Umar bin abu Salmah Radi Allahu Anha se rivayat hai ki main ek baar Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua to aapke samne khana rakha hua tha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya beta qareeb ho jao aur Bismillah kah kar apne dahine haath se aur apne samne se khao 
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1915-Sahih 

Wahshi ibn Harb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se Sahaba Radi Allahu Anhu ne pucha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum khana khate hain lekin sair nahi hote (yani pet nahi bharta) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya shahayd tum alag alag khate ho unhone kaha ki ji haan , to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum log apne khane ko saath milkar aur Allah ka naam lekar (yani Bismillah kah kar) khaya karo , tumhare khane mein barkat hogi 
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 364 - Hasan 

-------------------------
Answer D

Narrated from Aishah Radi Allahu Anha that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: When one of you eats food, then let him say: Bismillah. If he forgets in the beginning, then let him say: 
Bismillah Fi Awwalihi Wa Akhirih (In the Name of Allah in its beginning and its end.)" 
Jamia Tirmidhi, Vol.3, Book 23, 1858-Sahih 

Narrated Umar bin Abi Salmah Radi Allahu Anha that he entered upon the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam while he has some food. He said: "Sit down O my son! Mention Allah's Name and eat with your right hand, and eat what is nearest to you." 
Jamia Tirmidhi, Vol.3, Book 23, 1857-Sahih 

Narrated Wahshi ibn Harb radi allahu anhu : The Companions of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam we eat but we are not satisfied. He said: Perhaps you eat separately. They replied: Yes. He Sallallahu Alaihi Wasallam said: If you gather together at your food and mention Allah's name, you will be blessed in it. 
Sunan Abu Dawud, Book 27, 3755 (Hasan)

Category

Total Pageviews