Search This Blog

Autoblog

Wednesday, May 15, 2019

❗Islamic Quiz-104 ❗



❗Islamic Quiz-104 ❗

❗ Dono Sawalo ka jawab ek saath is tarah dijiyega  CD / DA

Sawal 1. Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mairaj ke roz pahle aasman par kaunse Nabee ko dekha tha ?

Sawal 2. Wo kaunse Nabee they jinko Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne dekha ki wo jab apne dahine taraf dekhte to muskura dete aur bayein taraf dekhte to ro dete ?

A. Musa alaihi salam
B. Adam alaihi salam
C. Ibrahi alaihi salam
D. Eesa alaihi salam
E. Idris alaihi salam
F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------------

- Please Reply of two quiz together like this .....CD /DA

Quiz 1 : Whats is the Name of that Prophet , Who met to our Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam on First heaven ?

Quiz2. On the night of mairaj Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam saw one prophet, when that prophet looked towards his right, he laughed and when he looked toward his left he wept. What is the name of that prophet ?

A. Musa alaihi salam
B. Adam alaihi salam
C. Ibrahi alaihi salam
D. Eesa alaihi salam
E. Idris alaihi salam
F. I want to know

Sahi jawab B B
------------------
Abu Dhar Gaffari radi allahu an hu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya , mere ghar ki chat khol di gayee us waqt main makka mein tha , phir Jibril alaihi salam utre aur unhone mera seena chaak kiya phir usko zamzam ke paani se dhoya phir ek soney ka tasht laaye jo hikmat aur imaan se bhara hua tha , usko mere seene ke andar rakh diya aur phir mere seene ko jod diya , phir mera haath pakda aur mujhe aasman ki taraf le gaye.

jab main pahle aasman par pahuncha to jibril alaihi salam ne aasman ke daroga (gatekeeper) se kaha ki (darwaza) kholo, usne pucha Aap kaun hain ? jawab diya ki jibril phir usne pucha ki kya aapke saath koi aur bhi hai ? jawab diya haan mere saath Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam hain unhone pucha ki kya unko bulane ke liye aapko bheja gaya tha , kaha ji haan phir jab unhone darwaza khola to pahle aasman par chadh gaye waha humne ek shaks ko baithe huye dekha, unke dayein taraf kuch logo ke jhund they aur kuch jhund bayein taraf they jab wo apne dayein taraf dekhte to muskura dete aur jab bayein taraf nazar karte to ro dete , unhone mujhe dekh kar farmaya , Marhaba Eh Saleh Nabee aur Saleh bete , maine jibrail alaihi salam se pucha ye kaun hai unhone kaha ki ye Adam alaihi salam hain aur unke dayein aur bayein jo jhund hain wo unki aulado ki roohein hain isliye jab wo apne dayein taraf dekhte hain to khushi se muskurate hain aur jab bayein taraf dekhte hain to (gam se ) rote hain
Sahih al-Bukhari , Jild 1, 349

------------------------
Answer BB


Narrated Abu Dhar Radi allahu anhu Allah's Messenger Sal-Allahu alaihi wasallam said, "While I was at Mecca the roof of my house was opened and Gabriel descended, opened my chest, and washed it with Zamzam water. Then he brought a golden tray full of wisdom and faith and having poured its contents into my chest, he closed it. Then he took my hand and ascended with me to the nearest heaven ( first heaven) , when I reached the nearest heaven, Gabriel said to the gatekeeper of the heaven, 'Open (the gate).' The gatekeeper asked, 'Who is it?' Gabriel answered: 'Gabriel.' He asked, 'Is there anyone with you?' Gabriel replied, 'Yes, Muhammad I is with me.' He asked, 'Has he been called?' Gabriel said, 'Yes.' So the gate was opened and we went over the nearest heaven and there we saw a man sitting with some people on his right and some on his left. When he looked towards his right, he laughed and when he looked toward his left he wept. Then he said, 'Welcome! O pious Prophet and pious son.' I asked Gabriel, 'Who is he?' He replied, 'He is Adam and the people on his right and left are the souls of his offspring. Those on his right are the people of Paradise and those on his left are the people of Hell and when he looks towards his right he laughs and when he looks towards his left he weeps.'
Sahih al-Bukhari , Jild 1, Book 8, Hadith 345

Category

Total Pageviews